Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 262
Bab : BUYING / SELLING کتاب البیوع
Fasl : CREDIT / DEBIT / FINANCE CARD
Topic : Credit Card Use Karna
Sawal : Kya Credit Card Use Karna Jaiz Hai?
Jawab : Credit Card Ka Use Karna Bhaut Se Ulama Ke Kehne Ke Mutabiq Jaiz Nahi Hai, Kyunke Us Ki T & C Me Ye Baat Likhi Hoti Hai Ke Agar Card Holder Time Pr Credit Ki Amount Pay Nahi Kar Saka, To Interest Ke Saath Credit Li Hui Amount Bharni Hogi, Or Card Holder Is T & C Pr Sign Kar Ke Apni Razamandi Zahir Karta Hai, Jis Tarah Interest Lena, Dena Na-jaiz Hai, Isi Tarah Us Ke Pay Karne Per Razamandi Or Waada Karna Bhi Sahih Nahi Hai. (online Darul Ifta Banuri Town) ( Islamic Fiqh Academy, Bank Se Jaari Hone Wale Mukhtalif Cards Page No. 20)
▪️ Al-batta Credit Card User Ko Bhut Si Sahulatein Militi Hai, Extra Discounts Wagera, Isliye Baaz Ulama Ne Ijazat Di Hai, Lihaza Agar Kahi Zarurat Pesh Aa Jaye, Or Debit Card Se Guzar Na Ho Sake, To Credit Card 1 Condition Ke Sath Use Karne Ki Ijazat Hai.
1) Credit Liya Hua Amount Skip Na Ho, Balke Waqt Se Pehle Pay Karde, Take Interest Pay Karne Ki Nobat Na Aaye. ( Khulasa Online Fatawa Jamiatur-rasheed, Fatwa No. 80877 )( Khulasa Kitabul Fatawa 5/213 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 21-10-2024
download in PDF
related question
Ayushyaman Card Banwana
Sawal : Ayushyaman Card Bana Kar Us Sai Fayda Utha Sakta Hai?
view more..
Paytm Postpaid Use Karna Kesa Hai ?
Sawal : Paytm Postpaid Use Kar Sakte Hain?
view more..
View all sawal
Total visited
7
0
3
9
9
times