17 September 2024

Tuesday

11  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 182
Main Bab
Fasl : NIKAH
Topic : Dulhan Ki Rukhsati
Sawal : Dulhan Ko Rukhsat Karne Ka Sharai Tariqa Kya Hai ? Kya Waliden Ka Ladki Ko Susral Chhorne Jana Masnoon Hai ?
Jawab : Dulhan Ki Rukhsati Ke Mutalliq Shariat Me Lazmi Taur Per Koi Esa Muta'ayyan Tariqa Nahi Hai, Jis Ke Khilaf Karna Na-jaiz Ho.

▪️ Is Silsile Me Shariat Ka Mizaj Ye Hai, Ke Rusoomaat Aur Khurafaat Se Bachte Huve Sadgi Ke Saath Maharim Ke Hamrah Dulhan Ko Uske Shoher Ke Yaha Rukhsat Kar Diya Jaye, Aur Is Ke Liye Ladki Ke Waliden Ka Hi Hona Zaroori Nahi.

▪️chunanche Hazrat Fatima(r.d.)ke Mutalliq Marwi Hai, Ke Hazrat Umme Ayman (r.d.) Ke Saath Unko Hazrat Ali ( R.d.) Ke Ghar Rawana Kiya Gaya, Aur Hazrat Umme Ayman( R.a.) Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aazad Ki Hui Baandi Thi.

▪️ Isi Tarah Hazrat A'aisha (r.d.) Ki Rukhsati Ke Mutalliq Bukhari Sharif Ki Riwayat Me Aata Hai, Ke Aap Ki Walidah Umme Rooman (r.d.) Aur Kuchh Aurto Ne Unhe Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Yaha Pohchaya.

▪️ Aur Is Tarah Bhi Huaa, Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Kisi Ko Dulhan Ko Lene Ke Liye Bheja, Jesa Ke Hazrat Umme Habibah (r.d.)ki Shhadi Me Huva.

▪️ Khulasa Ye Ke Sunnat Per Amal Karne Ke Liye Waliden( Maa-baap ) Ke Saath Hi Dulhan Ko Rukhsat Karna Zaroori Nahi Hai, Balke Mahram Ke Sath Aur Tamam Na-jaiz Kamo Se Bachte Hue Dulhan Ko Rukhsat Karna Ye Asal Hai.

makhuz Az: Fatawa Darul Uloom Zakariyyah(3/642) ( Online Fatawa Jamia Uloom Islamia Allama Muhammad Yusuf Bnori Town.
fatwa Number:143908200187 )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 5
  • 0
  • 0
times