Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
04 December 2024
Wednesday
1 Jamadi-Ul-Aakhar 1446
Sawal No : 158
Bab : ROZAH
Fasl : AETIQAF
Topic : Aetiqaf Sunnat Alal Kifaya Hai.
Sawal : Aetiqaf Karna Sunnat Hai, To Kiya Sab Ko Karna Chahiye, Ya Kuch Ke Karne Se Bhi Sunnat Ada Ho Jayegi?
Jawab : Ramadhan Ke Akheeri Dus Din Ka Aetiqaf Sunnat Alal Kifaya Hai, Matlab Puri Basti Mai Se Agar Ek Shaksh Bhi Aetiqaf Kar Leta Hai, To Sunnat Ada Ho Jayegi, Aur Agar Puri Basti Mai Se Koi Bhi Aetiqaf Nahi Karta, To Puri Basti Wale Gunehgar Honge.
▪️ Behtar Aur Afzal Yahi Hai, Ke Har Masjid Mai Aetiqaf Kiya Jaye, Is Sunnat Se Bohot Gaflat Barti Jati Hai. (fatawa Mahmudiya: 15/276)
haala Ke Ye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Daa'imi (hamesha Ki) Sunnat Hai, Reh Jane Par Us Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Pure Dus Din Ke Aetiqaf Ki Qaza Tak Farmai Hai.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 28-03-2024
download in PDF
related question
Aetikaf Ke Doran Periods Aa Jaye
Sawal : Agar Aurat Ko Ghar Par Aetikaaf Ke Doran Periods Aagaye, To Kya Karein ?
view more..
View all sawal
Total visited
7
2
6
6
9
times