19 September 2024

Thursday

13  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 135
Bab : BUYING / SELLING کتاب البیوع
Fasl : JAIZ / NAJAIZ SHAKLE
Topic : Business Deal Me Aesi Conditions Lagana, Jis Se Deal Invalid Ho Jati Hai.
Sawal : Mai Ek Company Me Work Karta Hu, Mery Company Ek Scheme Layi Hai, Ise Esop (employee Stock Option Plan) Kehte Hai, Jisme Company Apne Kuch Shares Employees Ko Offer Karti Hai, Purchase Karne K Liye Discounted Price Par ( Jese100 Rs. Ke Share Ho, To Wo Shares Hum Employees Ko 20 Rupees Mai Deti Hai ) Par Is Ke Liye Company Ki Kuch Conditions Hai.
( 1 ) 5 Years Tak Hum Shares Sale Nahi Kar Sakte Hai.
( 2 ) 5 Years Tak Company Mai Work Karna Zaruri Hai, Agar 5 Years Pehle Company Se Resign Kiya, To Wo Shares K Paise Humko Nahi Milenge.
note : 5 Years Complete Hone Par Employees Ki Choice Rahegi, Use Shares Sale Karne Ho, To Wo Kar Sakte Hai, Aur Shares Sale Nahi Karne Ho, To 5 Years Baad Nahi Kare, 5 Years Baad Agar Share Sale Kare, To Employees Us Waqt Ki Jo Shares Ki Market Price Hogi, Us Hisab Se Employees Ko Rupees Melenge, Aur Agar 5 Saal Baad Bhi Employee Shares Sale Nahi Karta, To Wo Jab Shares Sale Kare, Us Waqt Ki Market Price Ke Hisab Se Use Rupees Melenge, Is Surat Mai Yeh Shares Scheme Hamare Liye Jaiz Hai ? Ya Nahi ?
Jawab : Janna Chahiye, Ke Buy/sale Karte Vakt Aesi Koi Condition ( Shart ) Rakhna, Ke Wo Condition Deal Ke Fundamental Rights Me Na Aati Ho, Aur Us Condition Me Buyer Ya Saler Dono Me Se Kisi Aek Ka Fayda Ho Raha Ho, To Islamic Law Ke According Aesi Deal Invalid Ho Jati Hai. ( Khulasa - Az - Hidaya - 3/43 )
▪️ Jese Aap Ke Sawal Me 2 Condition Aesi Hai, Jo Is Deal Ko Invalid Kar Deti Hai.
( 1 ) 5 Year Tak Hum Shares Sale Nahi Kar Sakte Hai.
( 2 ) 5 Year Tak Company Mai Work Karna Zaruri Hai, Agar 5 Year Pehle Company Se Resign Kiya, To Wo Shares K Paise Humko Nahi Milenge.
▪️ Lihaza Aap Ke Liye Ye Shares Lena Jaiz Nahi Hai.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Check Bounce/court Case.
Sawal : 4,50,000/- Ka Cheque Bounce Case Tha, Surat District Court Ne 33 Month Me 26 Hearing Chalane Ke Baad Judgement Diya, Ke "9,00,000/- Ka Amount Accused Ko As A Compensation Diya Jaye"
▪️ Sawal Ye Hai, Ke Mere Haq Me Fesla Aya Hai To :
1. Mere Liye Kitna Amount Lena Jaiz Hai ?
2. Advocate Ki Fees, Court Fees Or Dusre Kharche Kis Ke Zimme Ayenge ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 8
  • 7
  • 0
times