18 October 2024

Friday

13  Rabi-Ul-Aakhar  1446

Sawal No : 133
Main Bab
Fasl : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Topic : Sea Food Ki Details
Sawal : Crab, Lobster, Prawn ( Jinge ), Mudfish ( Nevta ), Octopus, Oyster, Snail, Shark, Dolphin, Jo Fish Bbq Me Istemal Hoti Hai, Jis Me Kaate Nhi Hote, In Tamam Ka Hukm Kya Hai ?
▪️ Haram / Jaiz / Makruhe Tehrimi / Tanzihi ?
▪️ Or Aj Ke Zamane Me Prawn ( Jheenge ) Ka Hukm Kya Hai ?
▪️ Sea Food Ko Samajne Ke Liye Asal Usul Kya Hai ?
Jawab : Ahnaaf Ke Nazdeek Samandari Janwaron ( Sea Animals ) Mein Sirf Machhli ( Fish ) Jaaiz Hai, Baqi Koi Janwar Jaaiz Nahi, Jese : Crab, Lobster, Octopus, Oyster Etc.., Albatta Machli ( Fish ) Ki Tamam Types Jaaiz Hain.

▪️ Aur Jo Machli Tabee Mout ( Natural Death ) Mar Kar Pani Ke Oopar Ulti Terne Lagey, Woh Bhi Jaaiz Nahi.

▪️ Aur Prawn ( Jheenge ) Ke Silsile Me Akabir Muftiyan E Kiraam Ka Ikhtilaaf Hai, Kuch Muftiyan E Kiraam Usay Machli Ki Type Shumaar Karte Hain, Aur Jaaiz Kehte Hain, Aur Kuch Muftiyan E Kiraam Machli Ki Type Se Nikal Kar Na Jaaiz Farmatay Hain, Is Liye Ahtiyat Isi Mein Hai, Ke Na Khaya Jaye, Aur Agar Koi Shakhs Jaaiz Samajh Kar Khata Hai, To Is Par Shiddat Ke Sath Mana Karne Ki Zaroorat Nahi.

▪️ Jadeed Ilm E Hewan ( New Animal Science), Hewanaat ( Animals ) Ko Do Badi Qismo Mein Taqseem Karta Hai .
1 - ( Vertebrate )
2 - ( Invertebrate )
▪️ Pehli Type Un Hewanaat ( Animals ) Ki Hai, Jin Mein Reedh Ki Haddi ( Spinal Cord ) Hoti Hai, Aur Jis Mein A'asaabi Nizaam ( Nervous System ) Bhi Mujood Hota Hai, Aur Doosri Qisam Un Hewanat Ki Hai, Jin Mein Reedh Ki Haddi ( Spinal Cord ) Nahi Hoti, Is Taqseem ( Distribution ) Ke Lihaaz Se Machhli Hewanat Ki Pehli Qisam Mein Shumaar Hoti Hai, Jabke Prawn ( Jheenga ), Octopus, Crab, Lobster, Oyster Etc...doosri Qisam Mein Shumaar Hote Hai, Lihaza Is Surat Me Hanfiyyah Ke Asl Mazhab Ke Mutabiq Dusri Qism Ka Sea Food Khana Jaiz Nahi Hoga.( Makhuz Az Fiqhi Maqalaat, Shaikhul Islam Mufti Taqi Usmani Sahab Damatbarkatuhum 3/219 )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
View all sawal
Total visited
  • 6
  • 5
  • 3
  • 9
  • 1
times