Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 131
Bab : QURAN / HADEESH / DUSRE ULOOM
Fasl : Khawaab Ki Tabeer
Topic : Khwab Mai Hazrat Fatima ( Radiyallahu Anha )kai Kapde Daikhna, Aur Us Ko Bahar Mulk Bechne Ka Khyal Aanaa
Sawal : Mene Khwab Mai Dekha, Ke Ghar Mai Ek Bahot Purani Tijori Milti Hai, Us Mai Se Hazrat Fatema ( Radiyallahu Anha ) Kai Pehne Hue Kapde Nikalte Hai. Mai Usko Khol Kar Bahot Khush Hoti Hu, Aur Sochti Hu, Kai Puri Duniya Me Ye Kisi Ke Bhi Paas Nahi Honge, Lekin Fir Khayal Ata Hai, Kai Isko Bahar Mulk Me Agar Becha Jaye, To Iski Badi Qeemat Ayegi, Bas! Aap Muje Is Khwab Ki Tabeer Bataye.
Jawab : Hazrat Fatima( Radiyallahu Anha ) Ke Kapde Aap Ko Khwab Mai Mile, Is Sai Khwab Ki Tabeer Yai Samajh Mai Aati Hai, Kai Hijaab Aur Parde Ka Ihtimam Karna Chahiye, Aur Aap Ko Jab Yai Khyal Aayaa, Kai Is Ko Bahar Mulk Bechne Sai Zyada Nafa Hoga, Khwab Mai Yai Socha, Is Sai Ye Taabeer Samajh Mai Aati Hai, Kai Bahar Mulk Mai ( Jahan Hijab Aur Parde Ka Bilkul Ihtimam Nahi Hai ) Waha Bhi Is Hijaab Aur Parde Ko Phelane Ki Koshish Ki Jaye, Is Sai Aap Ko Deen O Duniya Aur Aakhirat Mai Bohot Fayda Hoga.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 29-01-2024
download in PDF
related question
Khwab Mai Namaz Padhna
Sawal : Khawab Me Namaaz Padna Kesa Hai?
view more..
View all sawal
Total visited
7
0
6
6
6
times