Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 125
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : SUNNATE / AADAB
Topic : Dadhi Ke Baal, Aur Hairstyle Cutting Ki Vazahat
Sawal : ( 1 ) Dadhi Agar Ek Mutthi Se Kam Ho, Aur Ek Mutthi Rakhne Ka Irada Ho, To Agar Baal Bade Chote Ho, Ya Side Se Zyada Nikal Rahe Ho, To Normal Si Setting Kara Sakte Hai.?
( 2 ) Dadhi Ka Konsa Hissa Cut Ya Trim Karna Durust Hai. ( Halak Ke Baal Katna Kesa Hai.? )
( 3 ) Dadhi Kaatne Ke Agar Bar Bar Waswase Aaye, Ya Khayal Aaye, To Kese Roke, Ya Kya Amal Kare.?
( 4 ) Hairstyle Me Agar Side Ke Baal Upar Ke Mukabil Kam Ho, Yani 19/20 Ka Farak Ho, To Kya Ye Durust Hai.? Take Baal Kaan Par Na Lage.
Jawab : ( 1 ) Dadhi Ke Baal Agar Chote Bade Ho, To Bhi Unko Barabar Karne Ki Niyyat Se Nahi Katna Chahiye, Ha ! Albatta Jo Baal Ek Musht Se Badh Jaye, To Un Ko Kaat Sakte Hai.( Fatawa Mahmudiyya 19/112 )
( 2 ) Halaq Ke Baalo Ko Nahi Mundwana Chahiye, Al-batta Imam Abu Yusuf ( Rahmatullahi Alaihi ) Ijazat Dete Hai, Rukhsar Ke Baalo Ko Mundwana ( Khat Banwana ) Durust Hai, Aur Kaan Ke Kareeb Jo Hissa Hai, Usse Uper Sar Ka Hissa Hai, Aur Niche Dadhi Ka Hissa Hai, Lihaza Kaan Ke Upar Ka Hissa Mundwana Durust He. ( Fatawa Mahmudiyya 19/420 )
( 3 ) Waswasa Aana Bura Nahi, Waswase Par Amal Karna Bura Hai, Agar Waswasa Aata Hai, Dadhi Katane Ka, To Us Par Koi Gunah Nahi, Al-batta Aap Apne Ikhtiyar Se Dadhi Na Kataye, Aur Jab Khyalat Is Tarah Ke Badh Jaye, To Yu Soch Liya Kare, Ke Khuda Na Kare, Dadhi Kati Hui Halat Me Mot Aa Gayi, To Allah Ta'aala Aur Huzur Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ko Kya Munh Dikhayenge, Aur Jab Kabhi Waswasa Aaye To " La Hawla Wala Quwwat Illa Billahil Aliyyil Azim " Ki Tasbih Padh Liya Kare, Insha Allah Khyalat Kam Ho Jayenge.
( 4 ) Sar Ke Balon Ke Bare Me Sharai Hukm Yeh Hai, Ke Ya To Sar Ke Tamam Baal Rakhay Jayen Ya Tamam Kate Jayen, Sar Ke Kuch Baal Kaatna Aur Kuch Chod Dena, Mana Hai, Usey Hadees Mein" Qaz'a" Se Tabeer Kar Ke Is Ki Mumana'at Ki Gayi Hai, Aur " Qaz'a" Ki Mukhtalif Soorten Hain, Haasil Un Ka Yahi Hai, Ke Sar Ke Baal Kahin Se Katay Jayen, Aur Kahin Se Chod Diye Jayen .
▪️ Al-batta Sar Ke Balon Ki Tahdeed Ke Liye Kaan Ke Atraaf Ke Baal Jo Kaan Par Lag Rahay Ho, Inhe Barabar Karne Ke Liye Atraaf Se Mamooli Baal Kaat Lena, Jaisa Ke Aam Tor Par Is Ka Mamool Hai, Ke Sar Ke Balon Ko Mutayyan Karne Aur Is Ko Dusre Se Judda Karne Ke Liye Kaan Ke Upar Blade Lagatay Hain, To Is Ki Gunjaish Hai, Phir Bhi Yeh Khayaal Rahe, Ke Ziyada Upar Se Blade Na Lagaya Jaye, Warna "qaza'a" Mein Daakhil Hoga, Haasil Yeh Hai, Ke Sar Ke Atraaf Ke Baal Agar Is Tarah Kate Jaye, Ke Un Ki Wajah Se Sar Ke Is Hissa Ke Baal Kam Aur Baqi Sar Ke Baal Bade Ho, To Yeh Durust Nahi Hai, Aur Agar Sar Ke Tamam Baal Barabar Ho, Aur Atraaf Se Tahdeed Ke Liye Inhe Barabar Kiya Jaye To Yeh Jaiz Hai.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 23-01-2024
download in PDF
related question
Aurat Ka Khushboo Lagana
Sawal : Kya Aurat Khushboo Laga Sakti Hai ? Agar Laga Sakti Hai, To Kya Rules Hai ?
view more..
Machine Se Munche Kaatna
Sawal : Kya Jo Hum Machine Se Munche Kaatte Hai, Wo Kechi (scissor) Se Kaatne Ke Hukam Me Hai ? Kya Us Se Sunnat Ada Hogi ?
view more..
Ladki Ke Liye Baal Cut Karwana
Sawal : Ladki Ke Liye Baal Cut Karwana Kesa Hai ? Agar Baal Chote Ho, To Use Badhane Ke Liye Cut Karwana Kesa Hai ?
view more..
Bathroom Me Nakhon Katna
Sawal : Bathroom Me Nakhon Katna Kesa Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
7
0
4
4
9
times