Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 123
Main Bab
Fasl : TALAQ
Topic : Shohar Se Divorce Paper Par Dhoke Se Sign Le Lena
Sawal : Agar Biwi Ne Shohar Ki Be-khabri Mai Divorce Paper Par Signature Karali,to Kya Talaq Ho Jayegi ? Agar Hogi To Konsi Hogi ? Agar Biwi Ne Dusra Nikah Kar Liya, To Kya Ye Dusra Nikah Sahih Hoga ?
Jawab : Yai Baat Qabil E Gaur Hai, Ke Aisa To Kya Huwa, Ke Shohar Ne Bagair Paper Padhe Sign Kardi, Lekin Agar Haqeeqat Me Shohar Ki Be-khabri Me Is Tarah Divorce Paper Par Sign Karwa Li Gayi, Ke Shohar Ko Pata Hi Nahi Tha, Ke Ye Talaq Nama (divorce Paper) Hai, To Is Se Talaq Nahi Hogi. Aur Jab Pehle Shohar Se Talaq Nahi Hui, To Biwi Ka Dusra Nikah Karna Bilkul Galat Tha, Wo Dusra Nikaah Huwa Hi Nahi, Balke Pehle Shohar Hi Ki Wo Biwi Samjhi Jayegi. (online Darul Ifta Deoband: 49208)
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 16-01-2024
download in PDF
related question
View all sawal
Total visited
7
0
5
8
2
times