19 September 2024

Thursday

13  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 116
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : OTHERS ( JAIZ / NAJAIZ CHEEZE )
Topic : Patang Bazi Mai Paai Jane Wali Kharabiya
Sawal : Mufti Sahab! Patang Urhana Kaisa Hai? Abhi Hinduo Ka Makr Sankranti Ka Tehwar Araha Hai, Is Mai Hindu Patang Urhatay Hain, Jin Ki Dekha Dekhi Hamaray Log Bhi Patang Urhatay Hain To Un Ka Yeh Amal Kaisa Hai?
Jawab : Patang Baazi Mai Umooman Bohot Saari Bura'iyan Aur Kharabiyan Payi Jati Hain, Jisay Hakeemul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanwi ؒ Ne Islaahur Rusum (kitab) Mai Likha Hai, Jisay Kuch Alfaaz Badal Kar Asaan Kar Ke Yahan Zikr Kya Ja Raha Hai .

jani Nuqsaan : Aksar Patang Baazi Chaton (terrace ) Par Hoti Hai, Patang Baz Patang Aasman Mai Laganay Ki Justajoo Mein Peechay Ko Hathta Rehta Hai Aur Peechay Ke Haal Se Be Khabar Dharaamm Se Neechay Ja Girta Hai. Isi Tarah Patang Aur Dor Lutney Ke Chakkar Mai Sadkon Aur Galiyo Mai Accident Aam Si Baat Hai, Jis Ki Khabrain Akhbarat Ki Zeenat Banti Rehti Hain Aur Maa Se Ziyada Mushfiq Meharban Palanhar Rabbul Alameen Farmate Hai ”apni Jano Ko Khud Halaak Nah Karo. ( Surah Nisa, Aayat : ‏29 ) Jabkay Mushfiq Nabi E Akram Sallallahu Alyhi V Sallam Ne To Be Munder Chhat (aisi Chat Jis Ke Ird Gird Khadi Deewar Na Ho, Us) Par Sonay Se Bhi Mana Farmaya Hai, Mumkin Hai Woh Chhat Se Neechay Gir Jaye Ya Achanak Uth Kar Chalne Se Neechay Gir Pade.

patang Ke Peechay Dorhna : Patang Ke Peechay Dorhnay Wale Ka Wahi Hukm Hai, Jo Kabootar Ke Peechay Dorhnay Wale Ka, Jis Ki Burai Ke Liye Yahi Kaafi Hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alyhi V Sallam Ne Is Ke Peechay Dornhay Wale Ko Shaitan Qarar Diya Hai. ( Masnad Ahmed )

doosron Ki Patang Lootna : Har Shakhs Is Khwahish Mai Rehta Hai Ke Patang Katay Baad Mein, Mere Haath Mai Pehlay Aajay, Halan Ke Nabi E Pak Sallallahu Alyhi V Sallam Ka Irshad Mubarak Hai, Nahi Lutta Koi Shakhs Is Tarah Se Ke Log Is Ki Taraf Nigah Utha Kar Dekhte Hon Aur Woh Phir Bhi Momin Rahay. ( Bukhari, Muslim )

dusro Ki Dor Lootna : Yai Patang Lutne Sai Bhi Ziyada Bura Hai; Kyun Ke Patang To Sirf Aik Aadmi Ke Haath Aati Hai, Jab Ke Dor Mutaddid Logo Kai Haath Mai Aur Woh Sab Log Gunah Gaar Hotay Hain Aur Hadees Shareef Ke Mutabiq Urhane Walay Ko Un Tamam Logon Ke Barabar Gunah Miley Ga. (muslim)

dusro Ko Nuqsaan Pahunchana : Har Patang Urhane Wala Is Koshish Mai Rehta Hai Ke Dusray Ki Patang Kaat Dun, Jis Se Us Ka Nuqsaan Aur Takleef Hoti Hai, Shar'ee Ru Se Yeh Dono Baatein Haraam Hain. Is Soorat Mein Dono Gunah Gaar Hon Ge. ( Ahzaab : 58 )

aapsi Ranjish : Jab Koi Kisi Dusre Ki Patang Ya Dor Lutta Hai To Aapas Mai Dushmani Aur Bugz Aur Adawat Paida Hoti Hai Aur Shaitan Yahi Chahta Hai Ke Aapas Mein Karh Wahat Paida Karde, Jis Ki Taraf Quran E Majeed Mai Ishara Maujood Hai. ( Surah Maida , Aayat : 91 )

be Pardagi : Bil Umoom Patang Chato (terrace) Par Udai Jati Hai, Jis Se Aros Paros Ki Be Pardagi Aur Be Hijabi Hoti Hai Aur Un Ko Takleef Hoti Hai, Yeh Bhi Haraam Kaam Hai. ( Surah Noor, Aayat : 30-31 )

waqt Ka Zaye Karna : Patang Urhane Mai Be Hisaab Waqt Barbaad Hota Hai, Halan Ke Quran E Hakeem Aur Ahadees E Sharifa Mai Mutaddid Jagah Waqt Ki Qadar O Qeemat Par Tawajjuh Dilaai Hai Aur Is Ki Hifazat Karne Ki Talqeen Ki Hai. ( Surah Shams : 3-4, Shob Al Imaan: Baihaqi)

hinduo Ke Tehwar Basant Aur Makr Sakrranti Ke Mauqe Par Jis Mai Woh Khusoosi Taur Par Patang Baazi Karte Hain, Is Mauqe Par Agar Musalman Bhi Patang Baazi Karein To Is Mai Gai Qomo Ki Naqqali Aur Un Ke Sath Mushabahat Lazim Aati Hai, Jabkay Nabi E Kareem Sallallahu Alyhi V Sallam Ne Bade Takeedi Aur Daraane Ke Andaaz Mai Is Ki Qabahat Aur Burai Ko Yun Bayan Farmaya Hai Ke Jis Shakhs Ne Kisi Qaum Ki Mushabahat Ikhtiyar Ki Woh Inhien Mai Hoga. (abu-dawood)
(makhuz Az: Usmanidarulifta.in)    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Aurat Aur Mard Ke Liye Haath - Pair Ke Baal Saaf Karna
Sawal : Aurat Aur Mard Ke Liye Haath - Pair Ke Balo Ko Nikalna Kesa Hai ?

view more..


Bachcho Ko Gudiya Dilana
Sawal : Bachcho Ke Khelne Ke Liye Gudiya Dilana Ya Ghar Me Rakhna Kaisa Hai ?

view more..


Cigarette/tambaku Ka Karobar
Sawal : Mufti Sahab! Cigarette Aur Tambaku Ka Karobar Kar Sakte Hain ?

view more..


Birthday Manana
Sawal : Baccha Peda Hone Ke Baad Jab Aek Saal Ka Hota Hai, Us Vakt Jo Salgirah ( Birthday ) Manate Hai, Vo Jaiz Hai ? Ya Na-jaiz ?

view more..


Shadi Ke Card Par 786 Likhna
Sawal : 786 Likh Kar Bismillah Murad Lena Kesa Hai, Aksar Shadi Ke Card Par Likhte Hai, Ye Sahih Hai ? Ya Galat ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 1
  • 0
  • 1
  • 7
times