Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
20 July 2025
Sunday
23 Muharram 1447
Sawal No : 113
Bab : AQEEDA / IMAN / SHIRK
Fasl : OTHERS ( AQEEDA / IMAN / SHIRK )
Topic : Limbu Ya Mirchi Se Nazar Utarna Aur Taweez Pahenna
Sawal : Limbu Ya Mirchi Se Nazar Utarna Aur Hifazat K Liye Taweez Pahenna Kaisa Hai ?
Jawab : Nazar Utaarnay Ke Jo Mukhtalif Tareeqay Hain, Jaisay Mirchiya Ya Limbu Jalana Wagerah, In Tareeqo Se Nazar Utaarna Durust Hai, Bashart E Kay Us Mai Koi Kufriya Kalima Ya Aise Alfaaz Jin Ka Mana Maloom Na Ho, Na Padhe Ja'ain.
▪️ Isi Tarah Taweez Pehenne Ki Bhi Ijazat Hai, Agar Us Mai Neeche Di Gai Shara'it Paai Jaye,
1) Kisi Ja'iz Maqsad Ke Liye Ho. ( Na Ja'iz Maqsad Ho To Ijazat Nahi Hogi )
2) Taweez Mai Qur'an Ya Hadees Se Sabit Alfaaz Ho, Ya Allah Tala Ke Sifaati Naam Ho, Ya Phir Aise Alfaaz Ho, Ke Jis Ka Matlab Pata Ho, Aur Us Mai Kufr Aur Shirk Ka Mana Na Paya Jata Ho.
3) Taweez Ko Mu'assir Na Samjhe.( Matlab Ye Aisa Na Samjhe Ke Taweez Mai Kuch Karne Dharne Ki Taqat Hai, Maqsad Mai Kaamyabi To Allah Hi Denge )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 09-01-2024
download in PDF
related question
Ghar Me Ghadi ( Watch ) Band Ho Jana Aur Aaina ( Mirror )toot Jana
Sawal : Ghar Me Ghadi ( Watch ) Band Ho Jana Aur Aaina ( Mirror )toot Jana Kaisa Hai ?
view more..
Hazrat Khizar Ke Bare Me
Sawal : Kya Hazrat Khizar "alahissalam" Zindah He ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
1
9
8
2
times