18 October 2024

Friday

13  Rabi-Ul-Aakhar  1446

Sawal No : 106
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : JAIZ / NAJAIZ BUSINESS
Topic : Smuggling Karna, Aur Smuggling Ke Badle Free Umrah Karna Kesa Hai ?
Sawal : Aaj Kal Bahot Se Log Dubai Or Saudi Trip Kar Rahe He, Unhe Isliye Bheja Jata He, Ke Wo Waha Se Gold Smuggling Kar Ke India Laaye, Or Aaj Kal Tour Wale Is Tarah Un Logo Ko Lalach De Kar Umrah Karwa Rahe He, Ke Aapka Umrah Ka Pura Kharch Hum Denge, Sirf Waha Se Aate Hue Ham Jo Denge, Use Chupa Kar Lana He, Agar Wo Pakde Jate He, To Custom Officer Se Setting Kar Ke Khila Pila Ke Rishwat De Ke Unhe Chudaya Jata He, Kai Baar To Nahi Chutte, Jail Ho Jati He, Kya Is Tarah Se Umrah Karna Durust He ? Ya Trip Karne Ke Unhe 20-25 Hazar Rupye Milte He, Kya Esi Trip Lagana Sahi He ? Dusra Ye Ke Jo Trip Lagwa Rahe He, Unka Karobar Sahi He ? Ye Sab Sirf Import Duty ( Tax ) Bachane K Liye Kiya Jata He, Kya Ye Sahi Hai ?
Jawab : Asal Masa'la Samjhne Se Phele Kuch Batein Jaan Le.
1 ) Shariat Ne Iman Walo Ko Halal Karobar Karne Ka Or Haram Kaam Se Bachne Ka Huqm Diya He, Or Agar Karobar To Halal Ho, Lekin Usme Musalman Ko Zillat Uthane Ka Gaalib Guman Ya Khof Ho, To Ese Business Se Bhi Shariat Ne Bachne Ka Huqm Diya He, Kyunke Quran-e-kareem Me Allah Taal'a Ne Faramaya. (وَلَا تُلْقُوا بِأَیْدِیکُمْ إِلَی التَّہْلُکَةِ) (البقرة: 195) Translation - Apne Aap Ko Halaqat Me Na Dalo.
2 ) Isi Tarah Rishwat Ka Dena Or Lena Dono Haram He, Albatta Esi Majburi Ho, Ke Rishwat Ke Bagair Kaam Nahi Ban Paye, Or Aap Kaam Ke Haqdaar Ho, To Apna Haq Hasil Karne Ke Liye Or Zulm Or Na-insafi Se Bachne Ke Liye Rishwat De, To Ulama Ne Dene Ki Gunjaish Di He, Lekin Lene Wala To Fir Bhi Gunehgar Hoga.
▪️ Upar Zikr Ki Hui Baato Se Yeh Maalum Hua, Ke Bagair Sakht Zaroorat Ke Rishwat Dena Jaiz Nahi, Smuggling Ki Jo Shakl Aapne Likhi He, Usme Bhot Si Martaba Pakde Jaane Pr Rishwat De Kar Chutkara Milta He, Or Smuggling Qanunan Jurm Hone Ki Wajah Se Kabhi Jail Tak Jaane Ki Naubat Aa Jati He, Jisme Insaan Ke Maal Ke Saath Izzat Ko Bhi Nuksan Pahunchta He, Niz Kai Martaba Jhoot Bol Kar Kaam Chalana Padta He, Agar Che Is Tarah Umrah Karne Se Umrah Ho Jayega, Lekin In Kharabiyo Ki Wajah Se Smuggling Karna Jaiz Nahi Hoga, Albatta Kisi Ne Smuggling Kar Ke Aamadni ( Income ) Ya Kaam Karne Ki Ujrat ( Salary ) Haasil Ki Ho, To Woh Haram Nahi Kahi Jayegi.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Bechi Jane wali cheez par Kisi khas company ka mark ya symbol lagana
Sawal : Ek shaksh apni factory me kisi company ya brand ke jaisa same to same saman tayyar karta he, aur us company/brand ka mark ya symbol us par laga deta he, aur phir bechta he to Kiya Aisa karne ki shar'eeat me ijazat hogi ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 5
  • 4
  • 4
  • 0
times